Tuesday, February 9, 2010

Ye na thi hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa

Ye na thi hamaarii qismat ke visaal-e-yaar hotaa 
agar aur jiite rahate yahii intazaar hotaa
 

koi mere dil se puche tere teer-e-nim kash ko
 
ye Khalish kaha se hoti jo jigar ke paar hota
 

kahu kis se me ke kya hai shab-e-Gam buri bala hai
 
mujhe kya bura tha marna agar ek baar hota
 

hue mar ke ham jo ruswa hue kyu na garq-e-dariya
 
na kabhi janaza uThta na kahi mazar hota
 

ye masail-e-tasawuf ye tera bayaan
 
tujhe ham vali samajhate jo na bada Khwaar hota
 



Shikasta manzaron ki kirchiyan aankhon mein chubti hain
k deewanon k khwaabon ki kahan tabeeren banti hain

yeh socha thaa barasti aankh uss ko rok ley shyaad
magar ashkon ki kariyon sey kahan zanjeeren banti hain


Aansuon ke naam pe.. dard khoob bahaaya krte ho..
bahot khudgarz ho tum... hanste huye rulaaya krte ho.!

 



 

No comments:

Post a Comment