Tuesday, November 15, 2011

Pyar to tumko bhi hum se hai magar janay kyun


Pyar to tumko bhi hum se hai magar janay kyun 
 Sabhi jazbaat-o-khayalat badal jatay hain
Youn mohabbat mein din raat badal jatay hain
 
 
Pyar to tumko bhi hum se hai magar janay kyun
hum karien baat to wo baat badal jatay hain


Aarzo to hai izhar e muhabbat kar doon
Lafz chunta hoon to lamhaat badal jatay hain


Kitni nafrat thi kabhi ahal -e- mohabbat se hamein
Ho mohabbat to khayalat badal jatay hain

No comments:

Post a Comment