Friday, November 19, 2010

Hasrat rahi ke ...

Lazim tha ab ke zauq-e-tamasha ko dekhti
kab tak tumhari Aankh se duniya ko dekhti

Toofaan ke jalu mein meri be baza'ati
basti ko dekhti kabi dariya ko dekhti

Bass dhoop aur reat hai aur piyaas ka safar
kya dil ke samne kisi sehra ko dekhti

Uss chashm-e-sard muher ke sab rang dekh ker
kya ishtiyaq-e-arz-e-tamna ko dekhti

Uss shehr-e-beniyaaz mein jab tak raha qiyaam
hasrat rahi ke chashm-e-shanasaa ko dekhti.!!

ab jo lautey ho itney saaloon

Ab jo lautey ho itney saaloon mein
Dhoop utree howi hai baaloon mein

Tum meri aankh kay samunder mein
Tum meri rooh kay ujaaloon mein

Phool hi phool khil uthey mujh mein
Koun aaya meray khayaaloon mein

Mein ney jee bhar k tujh ko daikh liya
Tujh ko uljha k kuch sawaloon mein

Meri khusiyoon ki kainaat bhi tou
Tou hi dukh dard k hawaloon mein

Jab tera doostoon main zikr aaye
Thees uthti hai dil k chaalon mein

Tum sey aabaad hai ye tunhaayii
Tum hi roshan ho ghur k ujaaloon mein

Kya usse yaad aa raha hoon Wasi
Rung ubhrey hain uss kay gaaloon mein

What shall we say that to love, where eyes So are found, but no eyes never meet

मोहब्बत में अश्क की कीमत कभी कमती नहीं
अंधेरे में रहकर भी रोशनी कभी मरती नहीं

नजरों का यह धोखा है वरना कभी
कहीं आसमां से धरती मिलती नहीं

चिनगारी होगी राख में दबी तो धुआँ उठेगा
ही, मोहब्बत की आग कभी छिपती नहीं

कहते हैं यह घर भूत का डेरा है, यहाँ
हजारों आत्माएँ रहती हैं,तभी तो यह ढहती नहीं

जिंदगी एक जंग है, हर साँस पर फ़तह होगी
ऐसी तकदीर , कभी किसी को मिलती नहीं

कौन कहता इश्क में हर मंजिल इन्किलाब है
आशिक की नीयत कभी बदलती नहीं

ऐसी मुहब्बत को हम क्या कहें, जहाँ आँखें
तो मिलती हैं, मगर नजरें कभी मिलती नहीं

Sunday, October 17, 2010

Waqt ke sath na badle to wo mausam nahi hota


Waqt ke sath na badle to wo mausam nahi hota
samandar ko kisi ke doobne ka gum nahi hota

jo bin awaaz aate hain wahi toofan late hain
garajne walo me to barasne ka dum nahi hota

tumhari muskurahat hi ayelan-e-jung-bandi hai
ishq me jeet ka koi doosra parcham nahi hota

luta do ishq ki daulat chupa rakhe ho jo dil me
kabhi taqseem se bhi yeh khajana kum nahi hota

kuch aise dard hain jo ta-umar hi sath rehte hain
waqt ke pas bhi har zakham ka marham nahi hota

zamane beet jate hain dilo ko paas lane me
alag hone ka bhi to faisla yek-dum nahi hota

ghazal kehne ki khatir aur bhi lakho massayil hain
faqat mehboob ki zulfo ka paich-o-khum nahi hota!

pyaas vo dil ki bujhane kabhi aaya hii nahin


pyaas vo dil ki bujhane kabhi aaya hii nahin
kaisa badal hai jisaka koi saaya bhi nahin

beruKhi is se badi aur bhala kya hogi
ek muddat se hamein us ne sataya bhi nahin

roz aata hai dar-e-dil pe vo dastak dene
aaj tak hamane jise paas bulaya bhi nahin

sun liya kaise Khuda jaane zamane bhar ne
vo fasana jo kabhi hamane sunaya bhi nahin

tum to shaayar ho aur vo ik aam saa shaKhs
us ne chaha bhi tujhe aur jataya bhii nahin.